Tuesday, October 6, 2015

Hisaab

Kai baar zindagi us modh par lakar khadi kar deti hai
jahaan hum gile-shikwon ka hisaab-kitaab karte hain
apne khaate khol kar baith jaate hain, aur ek ek kar len den ka hisaab karte hain
kabhi number jodhte hain to hisaab mil jata hai
par aksar hum apne aap ko ghaate mein paate hai
kya kabhi socha hai aapne, hum apne aap ko kabhi fayde mein kyun nahi paate hain?
Duniya ka hisaab toh pakka hai.
saare khaate ant mein hisaab barabar hi dikhlate hain
agar hum sab ke khaate nuksaan mein hain toh fayde mein kaun hai?
agar humse hamesha sab kuch khoya hai toh paa kaun raha hai?

No comments: