Thursday, October 22, 2015

Karobaar

Aaj ek lambe arse baad tumhe yaad kiya.
Darasal, yaad nahi.
Yaad toh hum roz hi kisi na kisi bahaane se kar lete hain.
Aaj ek lambe arse baad tumhara number ghumaya.
Do baar ghanti baji ki nahi, tumne phone uthaya
Kaafi utsukta se tumne poocha – “Kaisi ho?”

(Main aag mein jhulasti ek talwaar ke jaisi hun
Aandhiyon mein hain kaanpti jo shaakh main vaisi hun
Jiske paar na pahunche koi us deewar ke jaisi hun
Chattan ke jaisi hun, main pahaar ke jaisi hun
Baarishon mein phoot-ti us boond ke jaisi hun
Jo badalon se chhoot-ti par dharti par girti nahi vaisi hun
Main shor machaati hawaon ke jaisi hun
Main lalkaar ke jaisi hun, hahakaar ke jaisi hun
Phir bhee shok sannatte mein chupchaap si jaisi hun
Main pyaar ke jaisi hun, alankaar ke jaisi hun
Phir bhi mudatton se chal rahe tiraskaar ke jaisi hun
Main abhimaan si, pehchaan si, ek bol ke jaisi hun
Main geet hun, main gaan hun, ek awaaz ke jaisi hun
Par main mook hun, vidwaan hun, main gungaan ke jaisi hun
Main parchhai hun, aur rooh bhi hun
Aur dil ke bhi jaisi hun
Main nadi hun, samundar hun, main leher ke jaisi hun
Main kavita hun, kahaani hun, ek kitaab ke jaisi hun
Main girti hun, khud hi sambhalti hun
Khud ghao apne bharti hun
Jab bhi aankhein chhalakti hain
Aansoon ko khud hi peeti hun
Jab dard se kaleja phat-ta hain
Main goongi hi chheekhti chillati hun
Main toofano se joojh kar, phir khud ko hi samjhaati hun -
Main aurat nahi, karobaar hun
Karobaar ke hi jaisi hun)

Kaafi utsukta se tumne poocha – “Kaisi ho?”
Jawaab hai – “Main acchhi hun”