Wednesday, September 23, 2015

Piya tum mujhse door rehna

Piya tum mujhse door rehna.
khush rehna par door rehna.
Darkhwaast hai ye mere dil ki, 
par sunai deti kuch maghroor hai.
jaanti hun tum kahoge, 
phir se chhaya mujhpe koi fitoor hai
zillaton ki aandhiyon mein har baar tootna bikharna
phir unhi bhikhre tukron ko bator kar sambhalna
maachis ki teeliyon pe har bar apna ghar banana
aur ansoo-on se bheegi palkon pe naye sapne phir sajaana
har diwali, har holi pe paas hoke bhi door hona
duniya ke reeti-riwaazon se har waqat majboor hona
kehte hai jitni tadap ho, kahaani utni hee mashoor hoti hai
Heer-Ranjha,Suhni-Mehar,Mirza-Sahiban..
Aur bhi nyochhavar hui, kitni jawaaniyan, kitne hoor, hai na?
sunayi saza umr kaid ki, phir muskura ke bole piya - "manzoor hai na?"
aisi berukh zindagi ko ab maut bhi lagti noor hai na.
Tumhaare saath saath ab tumhaara Khuda bhi hai majboor,
bolo Khuda bhi ab majboor hai na?

No comments: