Thursday, February 23, 2017

Nagazeer (Foregone)

Guzra kal, gaya hua waqt, ateet - kabhi hamara peecha nahi chhodta

Kabhi andheri raat toh kabhi maachis ki ek lau si lautti hai
kabhi jala kar raakh toh kabhi peepal ke chhaon si sehlati hai
Main sochti hun zeaef nabz kahaan rakhi hogi tumne meri
Gobhi ke pakodon waali shaam toh yaad hogi?

Hans-hans ke mukammal giye the jo vaade tumne
aaj bhi unki mehek kisi kamre mein toh hogi?
Kabhi jhande si lehrayi gayi, kabhi cheezon jaisi ek kone padhi main
mez, chatai aur kursiyon se baatein karti thi.

Main thi bhi ya na thi, mashkuk hun main
Lekin Mohabbat thi, ye itimad hai mujhe