Friday, March 27, 2015

Kokh

Jab main ek nanhi saans thi Maa
aur tere liye naya ehsaas thi Maa
har pal khushiyon se ghiri thi tab 
us waqt hee sabse khaas thi Maa
'mera bacchha' keh kar Bapu sehlate the
'Raja beta' keh kar pyaar se bulate the
teri hansi ki khilkhilahat
chupchaap reh kar sunti thi Maa
Jab pareshaan main karti thi
kabhi bhook se, kabhi yun hi bilakhti thi
teri aankhein chhalak jaati thi
par hoton pe phir bhi muskaan thi Maa
Teri hansi ki woh awaaz
aaj bhi kano mein goonjti hai
woh muskaan tere hoton par dekhne ko
meri har saans aaj bhi tarasti hai
Tu sochti hain main nahi hun ab
par har pal teri aankhon se
main aansoo ban kar behti hun Maa
main teri yaadon mein rehti hun Maa

No comments: